Samad Ansari

apni lau mein koi Duba hi nahin

Samad Ansari

apnī lau meñ koī Duubā hī nahīñ
chāñd ehsās kā ubhrā hī nahīñ
koī aahaT na koī naqsh-e-qadam
jaise dil se koī guzrā hī nahīñ
chuur ā.īna-e-ayyām bhī hai
merā maazī mirā fardā hī nahīñ
dars maiñ bhī huuñ zamāne ke liye
ek ibrat-gah-e-duniyā hī nahīñ
kitnī sadiyoñ pe rukegā jā kar
ek lamha ki jo biitā hī nahīñ
kitnā hairāñ hai dahān-e-tasvīr
aks āvāz kā utrā hī nahīñ
maiñ bhī thā shahr-e-suḳhan kā me.aar
mere naqqād ne parkhā hī nahīñ
yuuñ chamaktī hai 'samad' kāhkashāñ
jaise taara koī TuuTā hī nahīñ
Top Urdushayar.com