bujhte sūraj ke sharāre nuur barsāne lage
rafta rafta chāñd tāroñ meñ nazar aane lage
kar gayā bedār patthar ko fan-e-ḳhārā-tarāsh
kitne nādīda sanam āñkhoñ meñ lahrāne lage
mauj-e-bū-e-gul se bhaḌkī haiñ dabī chiñgāriyāñ
phir havā ke sard jhoñke jism jhulsāne lage
kaT ke rah jā.egī āḳhir qismat-e-ġham kī lakīr
tere zindānī agar zanjīr ḳhaḌkāne lage
sar pe sūraj thā to naqsh-e-pā bhī raushan the 'samad'
dhuup ke Dhalte hī saa.e paañv phailāne lage