Samad Ansari

tilism-e-lafz-o-maani ko tar tar karen

Samad Ansari

tilism-e-lafz-o-ma.ānī ko taar taar kareñ
tasavvurāt kī nudrat ko āshkār kareñ
utaar laa.eñ falak se mah-o-nujūm tamām
zamīñ pe azmat-e-ādam ko ustuvār kareñ
haiñ samt samt ayaañ ḳhair-o-shar ke hañgāme
ki aadmī ko ḳhudā.ī kā rāz-dār kareñ
haiñ jam.a dahr meñ fitne sabhī qayāmat ke
ab aur kaun se mahshar kā intizār kareñ
guzar ke jā.eñge jis pul-sirāt se ik din
chalo usī ḳhat-e-qātil ko rahguzār kareñ
uThā hai jis kī latāfat se bandagī kā ḳhamīr
usī gunāh kī ismat pe jāñ-nisār kareñ
jalā.e rakhne 'samad' apnī aarzū ke charāġh
ajab nahīñ ki vo dāġh-e-jigar shumār kareñ
Top Urdushayar.com