Rahmat Qarni

KHub naseh ki nasihat ka natija nikla

Rahmat Qarni

Abadan, Khuzestan, Iran

1928
ḳhuub nāseh kī nasīhat kā natīja niklā
ham ne ashkoñ ko sambhālā to kaleja niklā
tere rindoñ ko jalātī rahī sahrāoñ kī dhuup
kitnā be-faiz tirī zulfoñ kā saaya niklā
iid kā chāñd jo dekhā to tamannā lipTī
un se taqrīb-e-mulāqāt kā rishta niklā
haif ki phuul haiñ muhtāj-e-nasīm-o-shabnam
marhabā chiir ke patthar ko jo sabza niklā
aahaT aahaT pe gumāñ guzre hai vo aa pahuñche
dil-e-nādāñ ke bahalne kā tarīqa niklā
dāman-e-dost ne bosoñ se navāzā 'rahmat'
mujh se behtar mire ashkoñ kā nasība niklā
Top Urdushayar.com