Rahmat Qarni

niklo hisar-e-zat se to kuchh sujhai de

Rahmat Qarni

Abadan, Khuzestan, Iran

1928
niklo hisār-e-zāt se to kuchh sujhā.ī de
gumbad meñ bāzgasht-e-sadā hī sunā.ī de
har ik ufuq fareb-e-nazar hai ki āsmāñ
jhuk kar gale zamīn ke miltā dikhā.ī de
yā toḌ de ba-pās-e-anā kaasa ḳhud gadā
varna dar-e-baḳhīl kī yā-rab gadā.ī de
mashriq meñ aadmī ko agar phāñs bhī chubhe
maġhrib kā har makīn taḌap kar duhā.ī de
qahr-e-ḳhudā ḳhudāoñ ke haiñ qahr kū-ba-kū
āshob-e-shahr meñ na duhā.ī sunā.ī de
'rahmat' charāġh-e-ḳhāna-e-darvesh hai hayāt
yā-rab! koī to chāñd sā chehra dikhā.ī de
Top Urdushayar.com