Salman Akhtar

dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin

Salman Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

dostī kuchh nahīñ ulfat kā sila kuchh bhī nahīñ
aaj duniyā meñ ba-juz zehn-e-rasā kuchh bhī nahīñ
patte sab gir ga.e peḌoñ se magar kyā kahiye
aisā lagtā hai hameñ jaise huā kuchh bhī nahīñ
kal kī yādoñ kī jalāne ko jalā.eñ mish.al
ek tārīk udāsī ke sivā kuchh bhī nahīñ
DhūñDhnā chhoḌ do parchhā.īñ kā maskan yaaro
chāhe jis tarah jiyo is meñ nayā kuchh bhī nahīñ
ik buroTas se shikāyat ho to dil dukhtā hai
ho jo har ek se shikva to gila kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com