tujh pe vaise bhī lage haiñ yahāñ ilzām ka.ī
zindagī dekh adhūre haiñ abhī kaam ka.ī
kal ko taḳhtī pe likhe jā.eñge tere auqāt
aur likh jā.eñge masnad pe abhī naam ka.ī
us kā paiġhām jo aayā hai to hairat kaisī
us ko maiñ ne bhī to bhijvā.e haiñ paiġhām ka.ī
chāk-dāmanī-o-rusva.ī-o-fāqa-mastī
zindagī tū ne diye haiñ mujhe in.aam ka.ī
ek maiñ bhī huā badnām to shikva kaise
ishq thī raah meñ pahle se hai badnām ka.ī
jañg bhī ghaat bhī dhokā bhī riyā-kārī bhī
dostī ke haiñ mire daur meñ anjām ka.ī
maiñ yahāñ sach ke tahaffuz meñ lagā huuñ 'rāhī'
jītnā hai mujhe har-gām pe sañgrām ka.ī