maiñ tujh se laakh bichhaḌ kar yahāñ vahāñ jaatā
mirī jabīn se sajdoñ kā kab nishāñ jaatā
zamīn mujh ko samajhtī na āsmāñ koī
gunāhgār hī kahlātā maiñ jahāñ jaatā
nasīb se to mile the faqat ye ḳhālī haath
farāḳh-dil vo na hotā to maiñ kahāñ jaatā
mujhe ḳhabar na thī is ghar meñ kitne kamre haiñ
maiñ kaise le ke vahāñ saarī dāstāñ jaatā
maiñ ek guuñj kī mānind lauTtā us tak
jahāñ se mujh ko bulātā maiñ bas vahāñ jaatā