kaho to aaj batā deñ tumheñ haqīqat bhī
ki zindagī se rahī hai hameñ mohabbat bhī
tumhārā husn to hai jaan apne rishte kī
barat rahe haiñ magar ham zarā muravvat bhī
hazār chāheñ magar chhūT hī nahīñ saktī
baḌī ajiib hai ye mai-kashī kī aadat bhī
ye zindagī koī mahshar sahī magar yaaro
sukūn-baḳhsh hai ham ko yahī qayāmat bhī
udhār le ke ḳhushī saarī umr jiite rahe
magar ye ilm thā aa.egī ham pe aafat bhī