jiinā azaab kyuuñ hai ye kyā ho gayā mujhe
kis shaḳhs kī lagī hai bhalā bad-duā mujhe
maiñ apne aap se to laḌā huuñ tamām umr
ai āsmān tū bhī kabhī aazmā mujhe
nikle the donoñ bhes badal ke to kyā ajab
maiñ DhūñDtā ḳhudā ko phirā aur ḳhudā mujhe
pūchheñge mujh ko gaañv ke sab log ek din
maiñ ik purānā peḌ huuñ tū mat girā mujhe
us ghar ke kone kone meñ yādoñ ke bhuut haiñ
almāriyāñ na khol bahut mat Darā mujhe