ham jo pahle kahīñ mile hote
aur hī apne silsile hote
phir har ik baat Thiik se hotī
phir na uljhan na fāsle hote
phir na tanhā.ī raat ko Dastī
phir na qismat se ye gile hote
phir na lagtā ye shahr ik sahrā
phir na gum dil ke qāfile hote
phir ġhazal hotī sab zabānoñ par
phir kisī ke na lab sile hote
phir har ik lamha gungunā uThtā
phir har ik samt gul khile hote