ḳhvāboñ ke aasre pe bahut din jiye ho tum
shāyad yahī sabab hai ki tanhā rahe ho tum
apne se koī baat chhupā.ī nahīñ kabhī
ye bhī fareb ḳhud ko bahut de chuke ho tum
pūchhā hai apne aap se maiñ ne hazār baar
mujh ko batāo to sahī kyā chāhte ho tum
ḳhālī barāmdoñ ne mujhe dekh kar kahā
kyā baat hai udaas se kuchh lag rahe ho tum
ghar ke laboñ pe aaj tak aayā na ye savāl
ho kar kahāñ se aa.e ho kyā thak ga.e ho tum