Rakesh Rahi

jumbish kise main du ki koi chaak bhi nahin

Rakesh Rahi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1969
jumbish kise maiñ dū ki koī chaak bhī nahīñ
mujh ko havā-e-shahr kā idrāk bhī nahīñ
maz.hab ke tājiroñ se bache haiñ isī liye
is shahr ke to log ḳhatarnāk bhī nahīñ
bārish ke bāvajūd shajar sūkhne lage
dhartī ke paas ab koī poshāk bhī nahīñ
kyā kyā gañvā diyā hai tumhāre firāq meñ
josh-e-junūñ meñ ab koī idrāk bhī nahīñ
tahrīr-e-vaqt meñ hai hamārā lahū magar
qātil hamāre shahr ke saffāk bhī nahīñ
dānish-varān-e-shahr ko ye jaam hai bahut
ham sā to koī shahr meñ chālāk bhī nahīñ
kal tak jo āsmān bane the zamīn par
ab DhūñDhiye to un kī yahāñ ḳhaak bhī nahīñ
jis ne koī gunāh kiyā hī na ho kabhī
aisā to koī shaḳhs yahāñ paak bhī nahīñ
kab se bhaTak raheñ haiñ tirī justujū meñ ham
apnī koī zamīñ koī aflāk bhī nahīñ
'rāhī' ko chāhiye yahāñ sab kī salāmtī
is fikr ke sivā koī imlāk bhī nahīñ
Top Urdushayar.com