dil jo sūrat-gar-e-ma.anī kā sanam-ḳhāna bane
aañkh jis shai pa paḌe jalva-e-jānāna bane
utne hī ho ga.e ham manzil-e-irfāñ ke qarīb
jis qadar rasm-o-rah-e-dahr se begāna bane
tā-dar-e-yār pahuñchtā hai vo ḳhud-rafta-e-shauq
apnī hastī se jo is raah meñ begāna bane
zarf-e-mai TuuT ke bhī hone na paa.e bekār
ho shikasta koī shīsha to vo paimāna bane
sa.i-e-nākām se maiñ haath uThā.ūñgā na 'barq'
merī bigḌī huī taqdīr bane yā na bane