tābish-e-husn hijāb-e-ruḳh-e-pur-nūr nahīñ
raḳhna-gar ho nigah-e-shauq to kuchh duur nahīñ
shab-e-furqat nazar aate nahīñ āsār-e-sahar
itnī zulmat hai ruḳh-e-sham.a pe bhī nuur nahīñ
rāz-e-sar-basta-e-fitrat na khulā hai na khule
maiñ huuñ is sa.ī meñ masrūf jo mashkūr nahīñ
sarf-e-nairañgī-e-nazzāra hai ḳhud apnā vajūd
ain vahdat hai koī nāzir-o-manzūr nahīñ
nazar aatā nahīñ go manzil-e-maqsad kā nishāñ
zauq-e-sādiq yahī kahtā hai ki kuchh duur nahīñ