Anjum Irfani

jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
jo na hoñ kuchh tashrīh-talab kam hote haiñ
us ke ishāre saare mub.ham hote haiñ
har chehra har rañg meñ aane lagtā hai
pesh-e-nazar yādoñ ke albam hote haiñ
aise meñ aa jaatī hai apnī hī yaad
ā.īna hotā hai aur ham hote haiñ
bhūlne lagte haiñ jugnū bhī apnī raah
palkoñ par jab qatra-e-shabnam hote haiñ
mauj-e-balā jab sar se guzarne lagtī hai
mazlūmoñ ke haath hī parcham hote haiñ
muTThī se phisle hī jaate haiñ har phal
vasl ke lamhe tār-e-resham hote haiñ
kyā jaane jo dīvār-o-dar kā hai asiir
rāhoñ meñ kyā kyā pech-o-ḳham hote haiñ
koī purānā ḳhat kuchh bhūlī-bisrī yaad
zaḳhmoñ par vo lamhe marham hote haiñ
'anjum' jalne lagte haiñ har samt diye
dard ke hamle dil par paiham hote haiñ
Top Urdushayar.com