itnī saarī shāmoñ meñ ek shaam kar lenā
sog chand lamhoñ kā mere naam kar lenā
lauT kar yaqīnan maiñ ek roz ā.ūñgā
palkoñ pe charāġhoñ kā ehtimām kar lenā
ik janm kā maiñ pyāsā rāsta bhī hai lambā
ek qulzum-e-mai kā intizām kar lenā
ham fanā-nasīboñ ko aur kuchh nahīñ aatā
ḳhuuñ sharāb kar lenā jism jaam kar lenā
ye parind parvārda hai khulī fazāoñ kā
sabz baaġh dikhlā kar zer-e-dām kar lenā
ḳhaak se hamārī bhī ho kabhī guzar terā
bar-zabān-e-sham-o-gul kuchh kalām kar lenā
be-takallufāna aa sāda-lauh logoñ meñ
rañg-āshnāoñ meñ jashn-e-bām kar lenā
vaqt-e-shām palkoñ par jhilmilā uTheñ taare
shāmil-e-duā 'anjum' kā bhī naam kar lenā