Anjum Irfani

ye raat Dhalte Dhalte rakh gai jawab ke liye

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
ye raat Dhalte Dhalte rakh ga.ī javāb ke liye
ki terī āñkheñ jāgtī haiñ kis ke ḳhvāb ke liye
kitāb dil pe likhne kī ijāzat us ne dī na thī
hai saada aaj bhī varaq ye intisāb ke liye
mirī nazar meñ aa gayā hai jab se ik sahīfa-ruḳh
kashish rahī na dil meñ ab kisī kitāb ke liye
hamārī mahzar-e-amal hai zer-e-faisla abhī
khaḌe haiñ sar jhukā.e kab se ehtisāb ke liye
purāne paḌ chuke kabhī ke sab tarīqa-e-sitam
ḳharābī aur chāhiye dil-e-ḳharāb ke liye
samajh rahe haiñ sab yahāñ hai zindagī azāb-e-jāñ
magar ye bhāg-dauḌ hai isī azaab ke liye
tamām jism zaḳhmoñ se gulāb-zār ho gayā
to laḌ rahe haiñ 'anjum' ab ye kis gulāb ke liye
Top Urdushayar.com