ab kisī andhe safar ke liye tayyār huā chāhtā hai
ik zarā der meñ ruḳhsat tirā bīmār huā chāhtā hai
āḳhirī qist bhī sāñsoñ kī chukā degā chukāne vaalā
zindagī qarz se tere vo subuk-bār huā chāhtā hai
rāz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-dānish
munkashif aaj vahī raaz sar-e-dār huā chāhtā hai
dil-e-vahshī ke bahalne kā nahīñ ek bhī sāmān yahāñ
mahfil-e-zohd-e-mizājāñ se ye bezār huā chāhtā hai
dekh lenī thī tujhe sīna-e-āfat-zadagāñ kī saḳhtī
terā har tīr-e-hadaf-kār hī bekār huā chāhtā hai
phailte shahroñ ke jañgal meñ ye ġhāroñ kī tarah tañg makāñ
ḳhuun meñ vahshi-e-ḳhvābīda bhī bedār huā chāhtā hai
dard-e-dil bāñTtā aayā hai zamāne ko jo ab tak 'anjum'
kuchh huā yuuñ ki vahī dard se do-chār huā chāhtā hai