Anjum Irfani

dhup aati nahin ruKH apna badal kar dekhen

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
dhuup aatī nahīñ ruḳh apnā badal kar dekheñ
chaḌhte sūraj kī taraf ham bhī to chal kar dekheñ
baat kuchh hogī yaqīnan jo ye hote haiñ nisār
ham bhī ik roz kisī sham.a pe jal kar dekheñ
sāhib-e-jubba-o-dastār se kah de koī
is bulandī pe vo dekheñ to sambhal kar dekheñ
kyā ajab hai ki ye muTThī meñ hamārī aa jaa.e
āsmāñ kī taraf ik baar uchhal kar dekheñ
daaġh dāman pe kisī ke na koī haath hī tar
kyuuñ na chehre pe lahū apnā hī mal kar dekheñ
kis tarah samt-e-muḳhālif meñ safar karte haiñ ham
bahte dhāre se kabhī aap nikal kar dekheñ
ḳhaak meñ mil ke fanā hoñge jo motī haiñ yahāñ
jab bhī jī chāhe ye āñkhoñ se ubal kar dekheñ
yak-ba-yak jaañ se guzarnā to hai āsāñ 'anjum'
qatra qatra ka.ī qistoñ meñ pighal kar dekheñ
Top Urdushayar.com