Anjum Irfani

aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
aur kuchh yaad nahīñ ab se na tab se pūchho
merī āñkhoñ se lahū bahtā hai kab se pūchho
lamhe lamhe meñ huā jaatā huuñ reza reza
vaj.h kuchh mujh se na pūchho mire rab se pūchho
vo to sūraj hai har ik baat kā sho.ala hai javāb
rū-ba-rū aa ke kaho yā ki aqab se pūchho
yaad hai qissa-e-ġham kā mujhe har lafz abhī
haal jis dard kā jis rañj kā jab se pūchho
tai havā kaise añdheroñ ke samundar kā safar
ġhāza-e-sub.h se kyā chādar-e-shab se pūchho
zaḳhm dekho mire talvoñ ke na chehre kā ġhubār
mujh pe kyā guzrī hai ye rāh-e-talab se pūchho
kitne sahrā ki simaT aa.e haiñ siine meñ mire
tishnagī merī na sūkhe hue lab se pūchho
yuuñ na har chehre pe ab Daalo savālī nazreñ
us ke kūche kā pata tum to na sab se pūchho
mujh se kyā pūchhte ho saare hī lamhoñ kā hisāb
mil ke jis moḌ se ham bichhḌe haiñ tab se pūchho
harf-e-haq kahne meñ kyā kyā na hue ham pe sitam
pūchhnā hī hai to bū-jahl o lahb se pūchho
jumbish-e-lab kī tumheñ bhī hai ijāzat 'anjum'
baat jo pūchho bahar-hāl adab se pūchho
Top Urdushayar.com