lahje kā ras hañsī kī dhanak chhoḌ kar gayā
vo jaate jaate dil meñ kasak chhoḌ kar gayā
mauj-e-havā-e-gul sā vo guzrā thā ek baar
phir bhī mashām-e-jāñ meñ mahak chhoḌ kar gayā
aayā thā pichhlī raat dabe paañv mere ghar
pāzeb kī ragoñ meñ jhanak chhoḌ kar gayā
larza giraft-e-lams kī lazzat se baar baar
bāñhoñ meñ shāḳh-e-gul kī lachak chhoḌ kar gayā
aayā thā shahr-e-gul se bulāvā mire liye
zindāñ meñ beḌiyoñ kī chhanak chhoḌ kar gayā
thā dekhnā kuchh apnā tilism-e-hunar use
bāġh-e-bahisht o huur o malak chhoḌ kar gayā
āvāra kū-ba-kū ye use DhūñDhtī phire
pā-e-havā meñ kaisī sanak chhoḌ kar gayā
hañste the zaḳhm aur bhī khā khā ke zarb-e-sañg
rāhoñ meñ phuul duur talak chhoḌ kar gayā
hāthoñ meñ de ke khīñch liiñ resham-kalā.iyāñ
kamre meñ chūḌiyoñ kī khanak chhoḌ kar gayā
āñkheñ na us kī bār-e-nadāmat se uTh sakīñ
zaḳhmoñ pe mere aur namak chhoḌ kar gayā
palkoñ pe jugnuoñ kā baserā hai vaqt-e-shām
'anjum' maiñ pāniyoñ meñ chamak chhoḌ kar gayā