ab is saada kahānī ko nayā ik moḌ denā thā
zarā sī baat par ahd-e-vafā hī toḌ denā thā
mahaktā thā badan har vaqt jis ke lams-e-ḳhush-bū se
vahī gul-dasta dahlīz-e-ḳhizāñ par chhoḌ denā thā
shikast-e-sāz-e-dil kā umr bhar mātam bhī kyā karte
ki ik din hañste hañste sāz-e-jāñ hī toḌ denā thā
safar meñ har qadam rah rah ke ye taklīf hī dete
bahar-sūrat hameñ in ābloñ ko phoḌ denā thā
ġhalat-fahmī ke jhoñkoñ se bikhar kar rah ga.e āḳhir
lahū kī aañch meñ TuuTe diloñ ko joḌ denā thā
vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paimāñ kā
kitāb-e-zindagī ke is varaq ko moḌ denā thā
banāyā hī nahīñ ham ne kabhī ye soch kar 'anjum'
ki gautam kī tarah ik din hameñ ghar chhoḌ denā thā