Anjum Irfani

isne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
is ne dekhā hai sar-e-bazm sitamgar kī tarah
phuul pheñkā bhī mirī samt to patthar kī tarah
us ke lab ko mire lab rah ga.e chhūte chhūte
maiñ bhī nākām chalā aayā sikandar kī tarah
rañg sūraj kā sar-e-shām huā jaatā hai zard
us kā bhī ghar na ho vīrān mire ghar kī tarah
dard us ahd kī mīrās hai Darnā kaisā
dard ko oḌh liyā karte haiñ chādar kī tarah
log har lamha badalte haiñ nazariye apne
zehn-e-insāñ bhī tavā.if ke hai bistar kī tarah
ab kī yūrish meñ kahīñ gir hī na jaa.e ye fasīl
shor rahtā hai mire dil meñ samundar kī tarah
kaisā is ahd meñ paimān-e-vafā log ab to
dost har saal badalte haiñ calender kī tarah
lafz aate hī mire lab pe laraz jaate haiñ
hāl-e-dil sunte haiñ ab vo kisī afsar kī tarah
vahī pābandi-e-auqāt vahī ma.amūlāt
zindagī ghar meñ basar hotī hai daftar kī tarah
ho gayā ḳhāk-nashīñ par ye jhukā.e na jhukā
kisī sar meñ bhī na saudā ho mire sar kī tarah
'anjum' is ahd meñ TuuTe hue dil ke rishte
joḌne par bhī haiñ udhḌe hue collar kī tarah
Top Urdushayar.com