raqs-e-junūñ kī garmī-e-tāsīr dekhnā
khultā hai kaise halqa-e-zanjīr dekhnā
ghis ghis ke pattharoñ ko banāyā hai aa.ina
dekheñ vo ḳhvāb ham ko hai ta.abīr dekhnā
harbe sab un ke un ko hī lauTā diye ga.e
hairat se ban ga.e haiñ vo tasvīr dekhnā
likh dī zabān-e-zaḳhm meñ rūdād-e-zindagī
jismoñ pe us kī shoḳhi-e-tahrīr dekhnā
ab to vajūd-e-maqtal-o-zindāñ pe aa banī
ab beḌiyāñ na tauq na zanjīr dekhnā
dekhe haiñ baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel
uTh kar zarā karishma-e-tadbīr dekhnā
qasr-e-hayāt-e-nau kī hai bārūd par binā
'anjum' ye pā.edārī-e-ta.amīr dekhnā