Anjum Irfani

fasil-e-jism pe shab-KHun shararten teri

Anjum Irfani

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1937
fasīl-e-jism pe shab-ḳhūñ sharārteñ terī
zarā sī bhī nahīñ badlī haiñ ādateñ terī
ye zaḳhm zaḳhm badan aur lahū lahū ye ḳhvāb
kitāb-e-jism pe utrī haiñ āyateñ terī
hisār-e-ātish-e-namrūd meñ ghirā huuñ maiñ
ab itnī sust qadam kyuuñ haiñ rahmateñ terī
charāg chāñd shafaq shaam phuul jhiil sabā
churā.īñ sab ne hī kuchh kuchh shabāhateñ terī
ye mauj mauj lahū meñ tire badan kā nasha
talāsh kartā hai har lamha qurbateñ terī
ai rashk-e-sarv-o-sanobar-qadāñ ḳhirām-e-nāz
ki raah dekh rahī haiñ qayāmateñ terī
mirī havas ke samundar meñ madd-o-jazr nahīñ
p.e-zavāl na hoñ chāñd-chāhateñ terī
ukhaḌne vaalī thī jis dam tanāb sāñsoñ kī
dar aa.iiñ ḳhema-e-dil meñ bashārateñ terī
ise sambhāl, huā jā rahā hai zer-o-zabar
ki dil pe laa.ī huī sab haiñ āfateñ terī
adā huā na kabhī mujh se ek sajda-e-shukr
maiñ kis zabāñ se karūñgā shikāyateñ terī
vo āñkhoñ āñkhoñ meñ rātoñ kā kāTnā terā
vo bātoñ bātoñ meñ 'anjum' ibādateñ terī
Top Urdushayar.com