Khadim Razmi

tufan hi nahin ghat mein hon jis ke bhanwar bhi

Khadim Razmi

tūfāñ hī nahīñ ghaat meñ hoñ jis ke bhañvar bhī
milte haiñ usī gahre samundar se guhar bhī
sahtā hai jo ik habs-e-musalsal kī girānī
hotā hai usī shahr se āñdhī kā guzar bhī
yuuñ pyaar hai us se ki faqat maiñ hī nahīñ huuñ
miTTī se bane haiñ mire dīvār bhī dar bhī
gur diip jilā kar use āgāh na kartā
mahfūz thā har shab kī havā se mirā ghar bhī
āñkhoñ se magar raat kā patthar nahīñ haTtā
ta.abīr to rakhtā hai mirā ḳhvāb-e-sahar bhī
julte haiñ kaḌī dhuup meñ kyuuñ apne hī āñgan
sūraj to yahī hai jo ubhartā hai udhar bhī
nisbat hai hameñ aise qabīle se ki jis ke
nezoñ pe sadā dete haiñ be jism ke sar bhī
kuchh soch ke vo bāb-e-qafas khol rahā hai
kal tak thī girāñ jis pe mirī jumbish-e-par bhī
ham log faqat dasht-navardī nahīñ karte
aatā hai hameñ shahr basāne kā hunar bhī
Top Urdushayar.com