Khadim Razmi

KHayal-o-KHwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho

Khadim Razmi

ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ dīvār-o-dar bhī saath rakkho
musāfirat meñ raho aur ghar bhī saath rakho
ajab nahīñ ki shahādat talab kare manzil
karo paḌāv to gard-e-safar bhī saath rakho
zar-o-guhar se bhī bantī haiñ qāmateñ lekin
koī salīqa-e-arz-e-hunar bhī saath rakho
ham aise log pas-e-guftugū bhī jānte haiñ
hameñ milo to ḳhulūs-e-nazar bhī saath rakho
kuchh is liye bhī vo sailāb bhej detā hai
ki bastiyoñ meñ raho aur khañDar bhī saath rakho
kaḌī hai dhuup to ḳhvāboñ meñ hī sahī 'razmī'
harī rutoñ ke ghanere shajar bhī saath rakho
Top Urdushayar.com