tū bhī kar ġhaur is kahānī par
jo likhī jā rahī hai paanī par
ye zamīñ zar ugā.egī ik din
rakh yaqīñ apnī kalba-rānī par
us kī be-mehvarī pe ġhaur na kar
rahm khā us kī be-zabānī par
garche mushkil talāsh thī us kī
ghar tirā mil gayā nishānī par
un se ma.anī kashīd kar apne
naqsh ubhre haiñ jo bhī paanī par
qaa.em 'anvar-sadīd' ne rakkhā
irtikāz apnī zindagānī par