har samt samundar hai har samt ravāñ paanī
chhāgal hai mirī ḳhālī socho hai kahāñ paanī
bārish na agar kartī dariyā meñ ravāñ paanī
bāzār meñ bikne ko aa jaatā girāñ paanī
ḳhud-rau hai agar chashma aa.egā mirī jānib
maiñ bhī vahīñ baiThā huuñ martā hai jahāñ paanī
kal shaam parindoñ ko uḌte hue yuuñ dekhā
be-āb samundar meñ jaise ho ravāñ paanī
jis khet se dahqāñ ko mil jaatī thī kuchh rozī
us khet pe dekhā hai hākim hai ravāñ paanī
chashme kī tarah phūTā aur aap hī bah niklā
rakhtā bhalā maiñ kab tak āñkhoñ meñ nihāñ paanī
bah jaatī hai saath us ke shahroñ kī ġhalāzat bhī
jārūb-kash-e-ālam lagtā hai ravāñ paanī
bas ek hī rele meñ Duube the makāñ saare
'anvar' kā vahīñ ghar thā bahtā thā jahāñ paanī