sāñsoñ meñ mil ga.ī tirī sāñsoñ kī baas thī
bahkī huī nazar thī ki phir bhī udaas thī
be-shak shikast-e-dil pe vo mab.hūt rah gayā
lekin shikast-e-dil meñ bhī zinda ik aas thī
gar tū mire havās pe chhāyā huā na thā
hastī vo kaun thī jo mire dil ke paas thī
bārish se āsmān kā chehra to dhul gayā
dhartī ke hoñT par abhī sadiyoñ kī pyaas thī
koñpal ne aañkh kholī to hairān rah ga.ī
hadd-e-nazar talak ye zamīñ be-libās thī
hoñToñ pe ik gulāb thā taaza khilā huā
āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tamannā udaas thī
'anvar'-sadīd sochtā rahtā huuñ in dinoñ
vo kaun thā ki jis ke liye dil meñ pyaas thī