jo takabbur se bhaTaktī hai zabāñ
aage aage phir bahaktī hai zabāñ
ho gayā nāsūr har ik lafz hai
boltā huuñ pakne lagtī hai zabāñ
jild se chhan chhan ke bahte haiñ ḳhayāl
aur āñkhoñ se chhalaktī hai zabāñ
nām-e-jāñ kitnā garāñ hai jaan pe
halq galtā hai pighaltī hai zabāñ
mo.ajiza hai ye bhī us ke qaul kā
buuñd ban kar jo barastī hai zabāñ
kuchh mulāqātoñ meñ hī hai ye asar
tujh meñ bhī merī jhalaktī hai zabāñ