Anwar Sadeed

ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main

Anwar Sadeed

Sargodha, Punjab, Pakistan

1928-2016
ahd-e-hāzir ik machine aur us kā kārinda huuñ maiñ
reza reza ruuh merī hai magar zinda huuñ maiñ
maiñ huuñ vo lamha jo muTThī meñ samā saktā nahīñ
pal meñ huuñ imroz-o-māzī pal meñ ā.inda huuñ maiñ
vo jo mujh ko pheñk aa.e bheḌiyoñ ke sāmne
kyā gila-shikva ki un se aap sharminda huuñ maiñ
mere lafzoñ meñ agar tāb-o-tavānā.ī nahīñ
ai ḳhudā kyuuñ dahr meñ terā numā.inda huuñ maiñ
maiñ jo kahtā huuñ samajhtā hī nahīñ koī use
jaise malbe meñ dabī bastī kā bāshinda huuñ maiñ
mere chehre par munaqqash is tarah tārīḳh hai
jaise ik kohna ajā.ib ghar kā bāshinda huuñ maiñ
ḳhaak huuñ lekin sarāpā nuur hai merā vajūd
is zamīñ par chāñd sūraj kā numā.inda huuñ maiñ
is jahāñ meñ maiñ hī masjūd-e-malā.ik thā 'sadīd'
is jahāñ meñ aaj ke insāñ se sharminda huuñ maiñ
Top Urdushayar.com