safīna le ga.e maujoñ kī garm-joshī meñ
hazīmat aa.ī nazar jab kinārā-koshī meñ
nasha chaḌhā to zabāñ par na iḳhtiyār rahā
vo munkashif hue ḳhud apnī bāda-noshī meñ
banā liyā use saanī phir apnī fitrat kā
sukūñ jo milne lagā un ko zahr-noshī meñ
qubūl rabb-e-karīm-o-rahīm ne kar lī
mirī zabāñ pe jo aa.ī duā ḳhamoshī meñ
khulī zabān to zarf un kā ho gayā zāhir
hazār bhed chhupā rakkhe the ḳhamoshī meñ
pasand kī na zamāne ne sādgī merī
bharam rakkhā hai ḳhudā ne safed-poshī meñ
zad-e-itāb meñ un ke jo aa ga.e 'anvar'
na jaane kah ga.e kyā kyā vo garm-joshī meñ