zor se āñdhī chalī to bujh ga.e saare charāġh
gum hue jaate haiñ tārīkī meñ manzar aur maiñ
haath se bachchoñ ke nikle merī jholī meñ gire
ban ga.e haiñ dost ye bachchoñ ke patthar aur maiñ
par nahīñ lekin mayassar tāqat-e-parvāz hai
dekhiye uḌte fazāoñ meñ kabūtar aur maiñ
ab tamāniyyat bahut mahsūs hotī hai mujhe
ho gayā hai ham-suḳhan niilā samundar aur maiñ
kaise kaise ḳhūb-rū chehre the sab ke sāmne
mahv-e-hairat ho gayā hai saarā daftar aur maiñ
koī bhī pechīdgī haa.el nahīñ anvar-'sadīd'
zindagī hai sāmne manzar-ba-manzar aur maiñ