dushman to mere tan se lahū chūstā rahā
maiñ dam-ba-ḳhud khaḌā hī use dekhtā rahā
jo phuul jhaḌ ga.e the jo aañsū bikhar ga.e
ḳhāk-e-chaman se un kā patā pūchhtā rahā
maiñ paar kar chukā thā hazīmat kī manzileñ
har chand dushmanoñ ke barābar khaḌā rahā
palkoñ pe jhūltī huī shaffāf chilmaneñ
kal raat merā un se ajab silsila rahā
us sañg-e-dil ke paas kahāñ the vafā ke phuul
'anvar-sadīd' jis ko sadā pūjtā rahā