siyāhiyoñ kā nagar raushnī se aT jaa.e
bahut tavīl hai yā-rab ye raat kaT jaa.e
zamīñ kā rizq huuñ lekin nazar falak par hai
kaho falak se mire rāste se haT jaa.e
tamām raat sitāra yahī pukārtā thā
havā ke saath chalo bādbāñ na phaT jaa.e
mirī ġhazal kā hai 'anvar-sadīd' ye hāsil
matā-e-dard mire dostoñ meñ baT jaa.e