vo baat jis se ye Dar thā khulī to jaañ legī
so ab ye dekhiye jā ke vo dam kahāñ legī
milegī jalne se fursat hameñ to socheñge
panāh raakh hamārī kahāñ kahāñ legī
ye aag jis ne jalā.e haiñ shahroñ jañgal sab
kabhī bujhegī to ye sūrat-e-ḳhizāñ legī
ye din jo thā ye rahā haiñ gavāh va.adoñ kā
ye shab jo hai tire da.avoñ kā imtihāñ legī
utar ga.ī hai mire jism meñ jo ye vahshat
nikalte vaqt yahī umr-e-jāvedāñ legī
zarā sī ḳhaak lahū de ke mutma.in haiñ kyuuñ
abhī to rāh-e-safar rahravoñ ki jaañ legī
vasī.a itnī hai uryāniyat ye jaañ kī dekh
badan ke dhakne ko ye kitne āsmāñ legī
burīda sar kiye jā.eñge sab javāñ kirdār
vo chehra dekhnā 'ātif' ye dāstāñ legī