aarzū ne jis kī poroñ tak thā sahlāyā mujhe
ḳhaak āḳhir kar gayā us chāñd kā saaya mujhe
ghup-añdhere meñ bhī us kā jism thā chāñdī kā shahr
chāñd jab niklā to vo sonā nazar aayā mujhe
aañkh par tinkoñ kī chilman hoñT par lohe kā qufl
ai dil-e-be-ḳhānamāñ kis ghar meñ le aayā mujhe
kis qadar thā mutma.in maiñ peḌ ke sā.e-tale
chāñdnī mujh par chhiḌak kar tū ne bahkāyā mujhe
maiñ bisāt-e-gul ko tarsā umr bhar 'anvar-sadīd'
aaj phūloñ par luTā kar kyuuñ hai taḌpāyā mujhe