Atif Khan

darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi

Atif Khan

Delhi, India

1985
darmiyān-e-gunāh-o-savāb aadmī
hai ḳhud apne liye hī azaab aadmī
ye zamīñ jis ḳhatā kī banī thī sazā
maiñ vahī to huuñ ḳhāna-ḳharāb aadmī
hal muamme kā jaise muammā koī
bas ki hai aadmī kā javāb aadmī
dekh be-sāḳhta aks ghabrā gayā
shīshe ke sāmne be-hijāb aadmī
falsafa bhī ḳhudī falsafī bhī ḳhudī
aap tālib hai aap hī kitāb aadmī
hāshiya hai kabhī aur kabhī rañg hai
jaise jaam aadmī aur sharāb aadmī
maut de bhī ga.ī hai javāb-e-azal
aur khaḌā rah gayā lā-javāb aadmī
mujh se jal-thal huā hai mirā andarūñ
maiñ ne kar hī diyā be-naqāb aadmī
Top Urdushayar.com