Atif Khan

duniya se hue baiThe ho ru-posh ai jaana

Atif Khan

Delhi, India

1985
duniyā se hue baiThe ho rū-posh ai jaanā
jalva bhī sar-e-ām hai pur-josh ai jaanā
din dasht meñ achchhe se guzar jaatā hai aksar
jab aatā hai yaad ālam-e-āġhosh ai jaanā
ye log shab-e-hijr bilakhte the jo behad
mahshar se guzar aa.e hai ḳhāmosh ai jaanā
kal raat to tum bhī the hameñ yaad ba-tartīb
aaj uTThe haiñ ḳhud se hī farāmosh ai jaanā
chhilte the badan jin ke havāoñ se vahī gul
bulbul ke haiñ sab qatl pe ḳhāmosh ai jaanā
kāñToñ se bhare haiñ dar-o-dīvār-o-darīche
itne ki sabā bhī hai lahū-posh ai jaanā
Top Urdushayar.com