us paar to ḳhair āsmāñ hai
is paar agar dhuāñ dhuāñ hai
andhā hai ġharīb ḳhush-gumāñ hai
aur sāmne khaa.ī hai kuaañ hai
dīvār-e-kuhan ke zer-e-sāya
baalū ke mahal kī dāstāñ hai
jaltī huī ret kā sahārā
jaltī huī ret bhī kahāñ hai
patthar kī lakīr ke alāva
miTTī kā diyā bhī darmiyāñ hai
har shahr ke zer-e-parda jañgal
'ahmad' ye maqām-e-imtihāñ hai