bāzār kī fasīl bhī ruḳhsār par male
dūd-e-charāġh jo kisī shorāb se jale
māthe kī biñdī haath kī rākhī duā ke bol
bīmār ke qarīb masīhā.ī meñ Dhale
kāġhaz kī naav TuuTā diyā taash kā mahal
apne haiñ ham-jalīs yahī chand manchale
itnā to ehtimām rahe aartī ke saath
gehūñ kī fasl ke liye shorāb bhī Dhale
'ahmad' ab āftāb ke andar bhī aa.iye
tai ho chuke tamām ujāloñ ke marhale