Khalilur Rahman Azmi

hamein bhi kyun na ho dawa ki hum bhi yakta hain

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
hameñ bhī kyuuñ na ho da.avā ki ham bhī yaktā haiñ
hamāre ḳhuun ke pyāse jab ahl-e-duniyā haiñ
bas is ḳhatā pe ki pahchānte haiñ kyuuñ sab ko
ye sāhibān-e-nazar shahr bhar meñ rusvā haiñ
ham ahl-e-dil kā zamāna hī saath de na sakā
hameñ bhī dukh hai ki ham is safar meñ tanhā haiñ
hameñ na jaano faqat Dūbtā huā lamha
hameñ yaqīñ hai ki ham hī nishān-e-fardā haiñ
miTā sakegī hameñ kyā koī siyah-baḳhtī
ham apnā jism bhī haiñ ham hī apnā saayā haiñ
hameñ pukār na ab ai arūs-e-shabnam-o-gul
hameñ na DhūñDh ki ham be-kanār sahrā haiñ
sadā-e-sāz nahīñ ham-navā-e-ġham hī sahī
hameñ suno ki hameñ e'tibār-e-naġhma haiñ
Top Urdushayar.com