chakkhī hai lamhe lamhe kī ham ne miThās bhī
ye aur baat hai ki rahe haiñ udaas bhī
in ajnabī laboñ pe tabassum kī ik lakīr
lagtā hai aisī shai thī kabhī apne paas bhī
mansūb hoñgī aur bhī us se hikāyateñ
ye zaḳhm-e-dil ki aaj hai jo be-libās bhī
phailā huā thā sadiyoñ talak us kā silsila
dariyā ke saath saath baḌhī apnī pyaas bhī
'nāsir' ko ro rahā huuñ ki thā merā ham-suḳhan
go us se ho sakā na kabhī rū-shanās bhī