Khalilur Rahman Azmi

jalta nahin aur jal raha hun

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
jaltā nahīñ aur jal rahā huuñ
kis aag meñ maiñ pighal rahā huuñ
maflūj haiñ haath paañv mere
phir zehn meñ kyuuñ ye chal rahā huuñ
ik buuñd nahīñ lahū kī baaqī
kis baat par maiñ machal rahā huuñ
tum jhuuT ye kah rahe ho mujh se
maiñ bhī kabhī be-badal rahā huuñ
kyuuñ mujh se hue gunāh sarzad
kahne ko to be-amal rahā huuñ
raa.ī kā banā ke ek parbat
ab us pe yūñhī phisal rahā huuñ
kis haath se haath maiñ milā.ūñ
ab apne hī haath mal rahā huuñ
kyuuñ ā.īna baar baar dekhūñ
maiñ aaj nahīñ jo kal rahā huuñ
ab kaun sā dar rahā hai baaqī
is dar se maiñ kyuuñ nikal rahā huuñ
qadmoñ ke tale to kuchh nahīñ hai
kis chiiz ko maiñ kuchal rahā huuñ
ab koī nahīñ rahā sahārā
maiñ aaj phir se sambhal rahā huuñ
maiñ kyuuñ karūñ āsmāñ kī ḳhvāhish
ab tak to zamīñ pe chal rahā huuñ
ye barf haTāo mere sar se
maiñ aaj kuchh aur jal rahā huuñ
mujh ko na pilāo koī paanī
pyāsoñ ke maiñ saath chal rahā huuñ
khāne kī nahīñ rahī talab kuchh
ab bhuuk ke bal pe pal rahā huuñ
Top Urdushayar.com