har har saañs na.ī ḳhushbū kī ik aahaT sī paatā hai
ik ik lamha apne haath se jaise niklā jaatā hai
din Dhalne par nas nas meñ jab gard sī jamne lagtī hai
koī aa kar mere lahū meñ phir mujh ko nahlātā hai
saarī saarī raat jale haiñ jo apnī tanhā.ī meñ
un kī aag se sub.h kā sūraj apnā diyā jalātā hai
maiñ to ghar meñ apne-āp se bāteñ karne baiThā thā
an-dekhā sā ik chehra dīvār pe ubhrā aatā hai
kitne savāl haiñ ab bhī aise jin kā koī javāb nahīñ
pūchhne vaalā pūchh ke un ko apnā dil bahlātā hai
kis ko sazā-e-maut milegī ye kaisī hai bhiiḌ lagī
aur kyā us ne jurm kiyā thā koī nahīñ batlātā hai