ham bāñsurī par maut kī gaate rahe naġhma tirā
ai zindagī ai zindagī rutba rahe baalā tirā
apnā muqaddar thā yahī ai mamba-e-āsūdgī
bas tishnagī bas tishnagī go paas thā dariyā tirā
is gaam se us gaam tak zanjīr-e-ġham ke fāsle
manzil to kyā ham ko mile, chaltā rahe rastā tirā
tū kaun thā kyā naam thā tujh se hameñ kyā kaam thā
hai parda-e-dil par abhī dhundlā sā ik chehra tirā
sūraj hai go nā-mehrbāñ hai sar pe niilā sā.ebāñ
ai āsmāñ ai āsmāñ daa.im rahe saaya tirā