Khalilur Rahman Azmi

har zarra gul-fishan hai nazar chur chur hai

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
har zarra gul-fishāñ hai nazar chuur chuur hai
nikle haiñ mai-kade se to chehre pe nuur hai
haañ tū kahe to jaan kī parvā nahīñ mujhe
yuuñ zindagī se mujh ko mohabbat zarūr hai
ab ai havā-e-charḳh-e-kuhan terī ḳhair ho
uThne ko is zamīn se shor-e-nushūr hai
apnā jo bas chale to tujhe tujh se maañg leñ
par kyā kareñ ki ishq kī fitrat ġhayūr hai
nāzuk thā āb-gīna-e-dil TuuT hī gayā
tū ab na ho malūl tirā kyā qusūr hai
aariz pe tere merī mohabbat kī surḳhiyāñ
merī jabīñ pe terī vafā kā ġhurūr hai
Top Urdushayar.com