kahāñ kho ga.ī ruuh kī raushnī
batā merī rātoñ ko āvārgī!
maiñ jab lamhe lamhe kā ras pī chukā
to kuchh aur jaagī mirī tishnagī
agar ghar se nikleñ to phir tez dhuup
magar ghar meñ Dastī huī tīrgī
ġhamoñ par tabassum kī Daalī naqāb
to hone lagī aur be-pardagī
magar jāgnā apnī qismat meñ thā
bulātī rahī niiñd kī jal-parī
jo ta.amīr kī kunj-e-tanhā.ī meñ
vo dīvār apne hī sar par girī
na jaane jale kaun sī aag meñ
hai kyuuñ sar pe ye raakh bikhrī huī
huī bārish-e-sañg is shahr meñ
hameñ bhī milā haqq-e-ham-sā.egī
guzārī hai kitnoñ ne is tarah umr
bil-aqsāt karte rahe ḳhud-kushī
haiñ kuchh log jin ko koī ġham nahīñ
ajab turfa ne.amat hai ye be-hisī
koī vaqt batlā ki tujh se malūñ
mirī dauḌtī bhāgtī zindagī
jinheñ saath chalnā ho chalte raheñ
ghaḌī vaqt kī kis kī ḳhātir rukī
maiñ jiitā to paa.ī kisī se na daad
maiñ haarā to ghar par baḌī bhiiḌ thī
huā ham pe ab un kā saaya harām
thī jin bādaloñ se kabhī dostī
mujhe ye añdhere nigal jā.eñge
kahāñ hai tū ai mere sūraj-mukhī!
nikāle ga.e is ke ma.anī hazār
ajab chiiz thī ik mirī ḳhāmushī